Thursday, August 13, 2015

O vada-shikan ab bhi teri sham nahi hai


Recital: Jafar Husain Khan Badauni


Din chhup gaya, sooraj ka kahin naam nahi hai,
O vada-shikan, ab bhi teri sham nahi hai

Mein ne hi to mai-khanay ki zeenat ko bardhaya
Aap se dur ho ke peeta hun, dard se choor ho ke peeta hun
Mein kabhi shoaq se nahin peeta, gham se majboor ho ke peeta hun
Ae saaqi teri khair, tere mai-kaday ki khair
Aisi pila ke jiss ka nasha umr bhar rahay
Main ne hi to mai-khanay ki zeenat ko bardhaya
Aur merey hi muqadar mein koi jaam nahin hai
Saaqi ne diya jaam, aur kaha, hosh mein rehna
Kam-zarf ke peenay ka yahan kaam nahin hai
Waqt aaney ka unke dil-e-nakam, nahin hai
Vo sham ko aayen ge, abhi sham nahin hai
Kamzor nigahon ka yahan kam nahin hai
O vada-shikan, ab bhi teri sham nahi hai

1 comment:

Unknown said...

Mp3 share kr dein plz